Monday, 15 May 2023

Aurat ko balidan ki murat que kaha jata hai..?

Hello!! readers. Welcome back to my blog. Aasha karti hu ki aap sb thik honge.
Aaj mera likhne ka waise koi plan nahi tha; pr jaise ki aap sb jante hai ki kal Mother's day tha; to sb ne apne whats aap status pe Maa k liye kuch na kuch likha tha. Maine Youtube pe 3-4 videos dekhe jis me kuch logo ne apni aur apni maa ki story share ki thi; un sb me ek cheese common thi wo thi SACRIFICE. Haa, sb ki maa apne baccho k liye kuch na kuch sacrifice krti hai. Agar aap ne mere last blog padhe honge toh aap ye jan gaye honge ki mere dimag me sawal bahoot aate hai.πŸ˜€ Toh kal bhi mere mn me sawal aaya ki ; kya ek ladki sirf Maa hone k bad hi sacrifice krti hai..?
         Aage likh ne se pahele; me ek bat clear krna chahti hu ki me is blog ko ek ladki k point of view se nahi likh rahi hu. Nahi to aap muze feminist bologe.πŸ˜€  Me ise kafi general likh rahi hu jis se aap bhi sahmat karenge.

        ' Aurat Balidan ki murat hai' Ye line aap ne jarur kahi na kahi padhi hogi ya phir suni hogi . Par aisa que..? Kuch din pehele me ek book padh rahi thi MRITYUNJAY ( very famous kadambari on Karna). Us me ek character hai KUNTI. Ab aap puchoge ye Kunti kon hai..? Mahabhrat sb ne dekha hoga..? Ab nahi mat bolna plz. Lockdown me sb ne dekha hai...muze pata hai😁😁. Us me PANDAV ki jo Mata hai; wahi same KUNTI hai ye book me bhi. Toh book padhne k bad jb maine us k characters analyse kiye to Kunti k bare me maine kuch cheese notice ki. Jo ki ek perfect example hai ki que aurat ko balidan ki murat kaha jata hai..? 

             Jab Kunti choti hoti hai toh uska nam Prutha hota hai. Us k pita shursen aur mata ka nam Marisha hota hai . Toh ye Purtha ka nam badal que diya. Maharaj shursen k bahoot ache mitra hote hai Kuntibhoj ; par unko koi santan nahi hota hai; toh Maharaj shursen apne dost ko wada krte hai ki wo apni putri ya ne Prutha ko un ko de denge. Jb Prutha 6-7 saal ki hoti hai tb Maharaj Shursen use apne sath Kunthibhoj k yaha leke jate hai aur use wahi rakh dete hai. Kunti bahoot roti hai; wo Maharaj Shursen k sath wapas jane k liye bahoot kahti hai. Tabhi Maharaj Shursen use apne wade k bare me batate hai. Wo sun k Prutha shant ho jati hai aur Kahti hai apne pita k wade ko pura kr ne k liye wo Shursen se kahti hai ki 'me Kuntibhoj ki Beti Kunti ban k hamesha yahi rahungi'. 

           Ab socho wo 6-7 saal ki baachi apna ghar, apni maa aur pita ka Balidan kr ne k liye tayar ho gayi. Sirf apne pita k wade ko pura krne kiye. Ye ek BETI k roop me us ka pahala Balidan hai.
                   Phir jb kunti Karn ko janam deti hai to n chahte hue bhi wo Karn ko nadi me baha deti hai; quki us waqt us ki shadi nahi hue hoti hai. Aur us waqt samaj use aur us k pita ko jine nahi deta. Ye soch k wo Karn ka tyag krti hai. Ye balidan wo ek Maa k roop me krti hai.
                      Phir, Kunti ki jb shadi Indraprasta k Raja Pandu yane PANDAV k pita se hoti hai aur wo Maharani ban ne wali hoti hai; tabhi Maharaj Pandu ko ek shaap milta hai aur wo Rajya ka tyag kr k jungle jane ka nirnay lete hai. Toh Kunti bhi apnr pure sukh, anand aur mahal ki sari suvidhao ka tyag kr k Maharaj k saath jane ka faisla leti hai. Ye sacrifice wo ek Maharani k roop me krti hai.
                 Maharaj Pandu jb dusri shaadi krte hai toh; Kunti unki dusri panti ko bhi khushi kushi apnati hai. Ek aurat k liye ye sabse bada balidan hota hai ki wo apne pati ko kisi aur k sath bhi bate. Par kunti Maharaj pandu k liye ye bhi krti hai. 
                  Ye KUNTI ki kahani hai; ki wo kaise apne jivan me har ek padav pe apni khushi ka balidan kr rahi hai.

        Hamare samaj me bhi aise kayi ladkiya hai jo apne Bhai k liye apni padhai ka balidan deti hai; apne pati k liye apna, us ka khud ka ghar tyag deti hai, phir apne bachoo k liye apna career bhi use chodna padta hai.
                 Waise aaj ki condition thodi bahtar hai aisa hm bol sakte hai. Ya phir hm city me rahte hai is liye hume aisa lagta hai..?  Phir bhi,  ye ek aurat ki apni hi shakti hai jo use ye sb krne ki takad deti hai. Quki shadi k bad apna ghar kitne ladke chodenge..? Bachoo k liye apne career ko kitne ladke sacrifice karenge ya phir apne career k sath sath ghar sambhal ne ki responsibility kitne ladke uthange..? Muze puchoge to mere according to Bahoot hi kam.  
                Hamare samaj me kuch riwaz hai jo Ladkio ko nibhana hi padta hai. Wo hm shayad hi badal payenge ya phir hume wo badal ne me kafi waqt lag jaye ... Tb tak hum ladko se ek supportive bhai, supportive pati aur supportive baba hone ka toh expect kr hi sakte hai...
         Aaj ka blog may be aap me kuch logo ko pasand na aaye par maine ek aurat k jivan ki sachyayi batane ki koshish ki hai. 
       Next blog may be me next month hi likhungi quki mere exams start hone wale hai tb tak aap log bahoot khush rahiye.


            
          
         
           

No comments:

Post a Comment

What is wedding..?

Hello readers! I hope you are all doing well. Yesterday, a friend of mine and I had a very interesting discussion about weddings and their m...