DHARMA KYA HAI?
NAMASTE🙏🙏. Aaj 1 week bad kuch likh rahi hu. Umeed hai aap ko padhke acha lagega. Aaj jis topic par me likh rahi hu wo topic hai DHARMA. Actually me khud abhi is ko puri tarah se samaz ne ki koshish kar rahi hu . Mere khud k kayi sawal hai; jis k answers muze abhi tak nahi mile hai jaise Dharma kaha se aaya? kis ne banaya ? iski jarurat kya thi? and most common kya bhagwan such me hai?
Bhagwan SHREE KRISHA ke anusar Dharma kya hai..?
Kurukshetra ki yuddha bhumi pr Arjun ko samjhate waqt Bhagwan Krishna kahte hai; Dharma ye manav ke aatma k liye hai; us k sharir k liye nahi. Jivan ko prithvi par yugo yugo tak chalane k liye aatma ko saaf aur nirmal rakhna jaruri hai. Aur aisa tabhi sambhav hoga jb Insaan Dharma ko apnayga. Dharma 5 pillar se bana hai 1) Karuna 2) Gyaan 3) Dhairya 4) Prem 5) Samarpan{dedication} 6) Nyaay{justice} . Jo bhi manushya in sb ko apnayga wo Dharmik kahlayga.
Buddha k anusar Dharma manushya ko Jivan jine ka tarika sikhata hai. Aap ko ek story sunati hu, Samrat Ashoka hum sb ko pata hai ; un k bare me itihasa me aisa likha hai ki Kalinga ke yuddha me unho ne lakho logo ko maar giraya wo dekh kr unko mansik pareshani hone lagi; wo us waqt se ubhar nahi pa rahe the; us waqt psychiatrics to nahi honge to kai buddha bhikuu ne unko shanti se jivan jine k liye wapas prerna di, un k jivan me wapas khushiya lane ki khoshish ki. Jis k karan Ashoka ne krurta ki rah chod kr shantata k marg ka palan kiya aur wo Bharat ke ek mahan Samrat bane.
Upanishad aur Ved me Dharma ko duty kaha gaya hai. Iska matlab hai agar koi Raja hai to us k rajya ko protect krna aur apni praja ka khyal rakhna hi uska dharma hai . Jise RAJDHARM kaha gaya hai. Agar aap kisi k bete hai to apne mata pita ki seva krna hi aap ka dharm hai jise Matrudharm aur Pitrudharm kaha gaya hai.
No comments:
Post a Comment