Monday, 15 May 2023

Aurat ko balidan ki murat que kaha jata hai..?

Hello!! readers. Welcome back to my blog. Aasha karti hu ki aap sb thik honge.
Aaj mera likhne ka waise koi plan nahi tha; pr jaise ki aap sb jante hai ki kal Mother's day tha; to sb ne apne whats aap status pe Maa k liye kuch na kuch likha tha. Maine Youtube pe 3-4 videos dekhe jis me kuch logo ne apni aur apni maa ki story share ki thi; un sb me ek cheese common thi wo thi SACRIFICE. Haa, sb ki maa apne baccho k liye kuch na kuch sacrifice krti hai. Agar aap ne mere last blog padhe honge toh aap ye jan gaye honge ki mere dimag me sawal bahoot aate hai.😀 Toh kal bhi mere mn me sawal aaya ki ; kya ek ladki sirf Maa hone k bad hi sacrifice krti hai..?
         Aage likh ne se pahele; me ek bat clear krna chahti hu ki me is blog ko ek ladki k point of view se nahi likh rahi hu. Nahi to aap muze feminist bologe.😀  Me ise kafi general likh rahi hu jis se aap bhi sahmat karenge.

        ' Aurat Balidan ki murat hai' Ye line aap ne jarur kahi na kahi padhi hogi ya phir suni hogi . Par aisa que..? Kuch din pehele me ek book padh rahi thi MRITYUNJAY ( very famous kadambari on Karna). Us me ek character hai KUNTI. Ab aap puchoge ye Kunti kon hai..? Mahabhrat sb ne dekha hoga..? Ab nahi mat bolna plz. Lockdown me sb ne dekha hai...muze pata hai😁😁. Us me PANDAV ki jo Mata hai; wahi same KUNTI hai ye book me bhi. Toh book padhne k bad jb maine us k characters analyse kiye to Kunti k bare me maine kuch cheese notice ki. Jo ki ek perfect example hai ki que aurat ko balidan ki murat kaha jata hai..? 

             Jab Kunti choti hoti hai toh uska nam Prutha hota hai. Us k pita shursen aur mata ka nam Marisha hota hai . Toh ye Purtha ka nam badal que diya. Maharaj shursen k bahoot ache mitra hote hai Kuntibhoj ; par unko koi santan nahi hota hai; toh Maharaj shursen apne dost ko wada krte hai ki wo apni putri ya ne Prutha ko un ko de denge. Jb Prutha 6-7 saal ki hoti hai tb Maharaj Shursen use apne sath Kunthibhoj k yaha leke jate hai aur use wahi rakh dete hai. Kunti bahoot roti hai; wo Maharaj Shursen k sath wapas jane k liye bahoot kahti hai. Tabhi Maharaj Shursen use apne wade k bare me batate hai. Wo sun k Prutha shant ho jati hai aur Kahti hai apne pita k wade ko pura kr ne k liye wo Shursen se kahti hai ki 'me Kuntibhoj ki Beti Kunti ban k hamesha yahi rahungi'. 

           Ab socho wo 6-7 saal ki baachi apna ghar, apni maa aur pita ka Balidan kr ne k liye tayar ho gayi. Sirf apne pita k wade ko pura krne kiye. Ye ek BETI k roop me us ka pahala Balidan hai.
                   Phir jb kunti Karn ko janam deti hai to n chahte hue bhi wo Karn ko nadi me baha deti hai; quki us waqt us ki shadi nahi hue hoti hai. Aur us waqt samaj use aur us k pita ko jine nahi deta. Ye soch k wo Karn ka tyag krti hai. Ye balidan wo ek Maa k roop me krti hai.
                      Phir, Kunti ki jb shadi Indraprasta k Raja Pandu yane PANDAV k pita se hoti hai aur wo Maharani ban ne wali hoti hai; tabhi Maharaj Pandu ko ek shaap milta hai aur wo Rajya ka tyag kr k jungle jane ka nirnay lete hai. Toh Kunti bhi apnr pure sukh, anand aur mahal ki sari suvidhao ka tyag kr k Maharaj k saath jane ka faisla leti hai. Ye sacrifice wo ek Maharani k roop me krti hai.
                 Maharaj Pandu jb dusri shaadi krte hai toh; Kunti unki dusri panti ko bhi khushi kushi apnati hai. Ek aurat k liye ye sabse bada balidan hota hai ki wo apne pati ko kisi aur k sath bhi bate. Par kunti Maharaj pandu k liye ye bhi krti hai. 
                  Ye KUNTI ki kahani hai; ki wo kaise apne jivan me har ek padav pe apni khushi ka balidan kr rahi hai.

        Hamare samaj me bhi aise kayi ladkiya hai jo apne Bhai k liye apni padhai ka balidan deti hai; apne pati k liye apna, us ka khud ka ghar tyag deti hai, phir apne bachoo k liye apna career bhi use chodna padta hai.
                 Waise aaj ki condition thodi bahtar hai aisa hm bol sakte hai. Ya phir hm city me rahte hai is liye hume aisa lagta hai..?  Phir bhi,  ye ek aurat ki apni hi shakti hai jo use ye sb krne ki takad deti hai. Quki shadi k bad apna ghar kitne ladke chodenge..? Bachoo k liye apne career ko kitne ladke sacrifice karenge ya phir apne career k sath sath ghar sambhal ne ki responsibility kitne ladke uthange..? Muze puchoge to mere according to Bahoot hi kam.  
                Hamare samaj me kuch riwaz hai jo Ladkio ko nibhana hi padta hai. Wo hm shayad hi badal payenge ya phir hume wo badal ne me kafi waqt lag jaye ... Tb tak hum ladko se ek supportive bhai, supportive pati aur supportive baba hone ka toh expect kr hi sakte hai...
         Aaj ka blog may be aap me kuch logo ko pasand na aaye par maine ek aurat k jivan ki sachyayi batane ki koshish ki hai. 
       Next blog may be me next month hi likhungi quki mere exams start hone wale hai tb tak aap log bahoot khush rahiye.


            
          
         
           

Thursday, 11 May 2023

Dharma kya hai..?

                                         DHARMA KYA HAI?

NAMASTE🙏🙏.  Aaj 1 week bad kuch likh rahi hu. Umeed hai aap ko padhke acha lagega. Aaj jis topic par me likh rahi hu wo topic hai DHARMA. Actually me khud abhi is ko puri tarah se samaz ne ki koshish kar rahi hu . Mere khud k kayi sawal hai; jis k answers muze abhi tak nahi mile hai jaise Dharma kaha se aaya? kis ne banaya ? iski jarurat kya thi? and most common kya bhagwan such me hai? 

Bhagwan SHREE KRISHA ke anusar Dharma kya hai..? 

Kurukshetra ki yuddha bhumi pr Arjun ko samjhate waqt Bhagwan Krishna kahte hai; Dharma ye manav ke aatma k liye hai; us k sharir k liye nahi. Jivan ko prithvi par yugo yugo tak chalane k liye aatma ko saaf aur nirmal rakhna jaruri hai. Aur aisa tabhi sambhav hoga jb Insaan Dharma ko apnayga. Dharma  5 pillar se bana hai 1) Karuna 2) Gyaan 3) Dhairya 4) Prem 5) Samarpan{dedication} 6) Nyaay{justice} . Jo bhi manushya in sb ko apnayga wo Dharmik kahlayga.



Gautam Buddha Dharma k bare kya kahte hai...?

Buddha k anusar Dharma manushya ko Jivan jine ka tarika sikhata hai. Aap ko ek story sunati hu, Samrat Ashoka hum sb ko pata hai ; un k bare me itihasa me aisa likha hai ki Kalinga ke yuddha me unho ne lakho logo ko maar giraya wo  dekh kr unko mansik pareshani hone lagi; wo us waqt se ubhar nahi pa rahe the; us waqt psychiatrics to nahi honge to kai buddha bhikuu ne unko shanti se jivan jine k liye wapas prerna di, un k jivan me wapas khushiya lane ki khoshish ki. Jis k karan Ashoka ne krurta ki rah chod kr shantata k marg ka palan kiya aur wo Bharat ke ek mahan Samrat bane.


Upanishad aur Ved me Dharma ko duty kaha gaya hai. Iska matlab hai agar koi Raja hai to us k rajya ko protect krna aur apni praja ka khyal rakhna hi uska dharma hai . Jise RAJDHARM kaha gaya hai. Agar aap kisi k bete hai to apne mata pita ki seva krna hi aap ka dharm hai jise Matrudharm aur Pitrudharm kaha gaya hai.

ABHI SAWAL HAI PHIR AAJ JISE HUM DHARMA KAHTE HAI WO KYA HAI....?
Is ko analyse karenge to har koi apna opinion bana sakta hai. Mere pass jitna knowlege hai us k according me mera view likh rahi hu. Jaise jaise hamari sabhyata(civilization) aage badhne lagi waise kayi vichar dharaye prakat hui phir jin jin vyakti ko jo vichar pasand aaye unho ne wo vichar dharao ka prachar krna shuru kiya aur aise kr k alag alag groups ban gaye. Is liye aaj koi Hinduism ko follow krta hai , koi buddhism, shikhism, Islam etc. Par sabhi dharmo ka basic same hai jivan jine ka sahi tarika. Shayad isi liye hi INSANIYAT ko sab se bada dharam bola gaya hai. 
Aaj hamare dharma me alag alag bhagwan hai jaise Shiv ji, Ram bhagwan, Lord krisha, Buddha, Jaina, Allah aur bahoot sare. Aisa que..? Actually is duniya me sabse bada darpok koi hai to wo insaan hai. Is liye hum ne bhagwaan ko apne security ki responsibility de di. Jaise koi baccha bolta hai; he bhagwan exam me pass kar do nahi to ghar wale maarenge. Koi businessman bolega ; he bhagwan mere company k shares k rate badha do nahi to mera status down ho jayga. To hume aisa koi chahiye jo hamri sari bate sune; aur jis pr hm complete bharosa kr sake jo hame jine k liye sahi rasta dikha sake aur jis k sath hum haq k sath bat kr sake. 

Kya kabhi koi bhagwan se mil sakta hai...?
Mere according is duniya me koi to supreme power hai jo is juniya ki kai bate control kr raha hai. Ab wo Ram bhagwan hai ya krishna ya allah wo muze nahi pata but aap is supreme power ko mil sakte hai quki iska ek ansh aap k aatma me bhi rahta hai. Meditation aisa tool hai jo aap ko is supreme power se milayga . Is k bad aap k jivan me kai badlav aa sakte wo kaise..? 
Is ko hum hamare next blog me discuss karenge tab tk apna khyal rakhiye . 

























Monday, 1 May 2023

 

PROBLEMS IN THE INDIAN EDUCATION SYSTEM PART-2

 

Hello guys. Welcome to the blog!!! If you have not read part-1 of this blog so please read that.

So, as I mentioned in my previous blog; there are other problems too. The biggest problem is our education system is more focused on theoretical knowledge than practical. Due to this many students do not understand the concept of the subject; then to get good marks they choose rote learning. Which causes an adverse impact on the creativity of a child.

Infrastructure is also creating hurdles while providing qualitative education. Students who are living in cities; can afford to get admission to good private schools that have access to computers, laboratories, etc can perform well in his/her academics; than those who are living in villages. This creates educational disparity among them. So, It is the responsibility of our system to provide a school with all basic infrastructure in every village, tribal area, and hilly area.

Privatization of Education led to the institutionalization of the system; this makes education a business. Here I am not saying that the privatization of education is not good; my point is just that education is a basic need and the fundamental right of every child in this country and if someone drops from school just because they cannot afford expenditure on education then privatization is wrong.

The last point is, Dr. Ambedkar once quote that, “Sanskrit should be our official language”. Because traditional Indian sources like Vedas, Upanishads, Geeta, etc have tremendous knowledge which needs to be known to every Indian because it helps us to create a different identity than Western countries. When foreign countries like the UK, Japan, etc can conduct academic programs on Sanskrit, Mahabharat, etc then why cannot we..? It helps the student to understand the power of Ayurveda, an ancient infrastructure that we can use today to Make a New India .





What is wedding..?

Hello readers! I hope you are all doing well. Yesterday, a friend of mine and I had a very interesting discussion about weddings and their m...